Barsaat Barsay

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Tarha Ankhen Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay.

Barbad Mat karna

Jindgi ki raho mei kabhi pyar mat karna
ho jaye to inkar mat karna
nibha sakna to chalna us rah par
varna jindgi kisi ki barbad mat karna…

Aye Barish

Aye barish zara tham ke baras
Jab mera yaar aa jaye toh jam ke baras
Pheli na baras ki wo aa na sake
Pair itna baras ki wo ja na sake.

by Javed Ahamad

Apni Saansoan Mein Mehakta

Apni sanasoan mein mehakta paya hai tujhe,
har khawab me bulaya hai tujhe,
kyu n kare yad tujh ko
jab khuda ne hamare liye banaya hai tujhe.

by Ravi

Nikki Ki Ek Dua

Nikki ki ek dua zindagi bana degi..
Khud roa kar dusro ko hasha degi..
Kabhi bhool kar bi na rulana nikki ko..
Uski ek bad dua saara harsh ko hila degi..

By Nikki

Kisi Shayar Ne Kaha

Kisi Shayar Ne Kaha Zindagi Ek Lamba Safar Hai,
Kisi Aashiq Ne Kaha Zindagi Ek Mushkil Paheli Hai,
Arre Dosto Zindagi Ka Arth Toh Sirf Voh Bata Sakta Hai,
Jiski Shaadi Ke Baad Bhi Koi Saheli Hai!!!

By Prabhpal Pannu

Chand Ne Ki Hogi

Chand ne ki hogi suraj se mohhabat
Isliye to chand main dag hai
Mumkin hai chand se hui hogi bewafai
Isliye to suraj main aag hai

Submitted by Amit Kumar

Ussko Chaha Toa

Uss ko Chaha toa iqrar karna na aya.
Kat gaye umer pyar karna na aya.
Manga uss ne kuch to mangi judai.
Aur ek hum thy k hume inkar karna na aya ..

By Farhan Ahmad

Teri Wafao Mai

Teri wafao mai sanam
Na watan ke rahe na saffer ke rahe
Bikhri lash ke itne tukde hue
Na kafan ke rahe na dafan ke rahe.

By Rakesh sahu

Wahdat Ka Teri

Arz-o-sama kahan teri usat ko pa sake,
Ek mera hi dil hai jahan tu sama sake,
Wahdat ka teri kya hurf-e-dui la sake,
Aina kya majaal jo tujhe mooh dikha sake.

By Zakir

« Previous Entries

Submit Shayari

Shayari