Mai Shayar Ban Gya

Mai shayar ban gya meri shayari hai tu,
Mai ashiq ban gya meri ashiqi hai tu,
Kya hal hai mere dil ka,
Mere dil ki wo deewangi hai tu.

By Rakesh Kumar

Nah Jane

Nah jane kis-kis ki mautaay hai,
Aaj rukh pe koi naqab nahi,
Wo karam ungalyon pe ginte hai,
Zurm ko jinka koi hisab nahi…

By Muntum

Yaadon Mai Aake

Yaadon mai aake khwabo mai aake
Dil ko churaya tumne,
Dil ki bebasi mai kis se kahu
Dil mai hi aag lagaya tumne……

By RIJWAN AHMAD

Hum Chale

Tere dil ko tere dil se churane hum chale,
Teri ankho se ankhe lagane hum chale,
Dur ho kar bhi pass raho tum itna,
Ki teri yadon ko dil main chhupa ke hum chale

By Rakesh Kumar

Ishq Ibadat Hai

Ishq ibadat hai isse khone mat dena,
Bewafai gunah hai isse hone mat dena,
Agar aap kisi se sachcha pyar hai
Toa aapko khuda ki kasam usse rone mat dena

BY Rizwan Khan

Katil Adao

Kisi ki katil adao ke hum mare hai,
isliye log kahte hai hum bichare hai,
sangam to hota hai har ek lahro ka ek hi samandar main,
phir kyu har ek ke alag alag kinare hai.

Mere Dil Jigar

Mere dil jigar , kidney aur liver ho tum,
Waqt bewaqt aaye fever ho tum,
Jisme Doob kar mar jaye vo river ho tum,
Mere jivan main aab toa forever ho tum…..

Yaad Karte Hai

Yaad karte hai tumhe tanhai mein ,
dil dooba hai gamo ki garai mein,
hume mat dhoundna duniya ki bhid mein,
hum milenge tumhe tumahi parchaai mein.

Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe

Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe,
2 peg whiskey dete the main Jhool jaata tha Maa,
Meri Nazar Dhoondhe theke,
Sochu Yahi Tu mujhko nazar na aa jaye Maa,
Daru main itna pita nahi,
Par Main Seham Jaata Hoon Maa,
Chehre Pe Aane Deta Nahin,
Lekin main ludak jaata Hoon Maa,
Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa ….

Pyaar To Jindagi Ka

Pyaar To Jindagi Ka Afsana Hai ,
Iska Apna Hi Ek Tarana Hai ,
Pata Hai Sabko Milenge Sirf Aansu ,
Par Na Jaane Duniya Me Har Koi Kyu Iska Diwana Hai …

« Previous Entries Next Entries »

Submit Shayari

Shayari